Every place has a story to tell..Every tree every plant each and every human..
The reason I love traveling by road is you get to see places which u might never visit .. traveling nowadays is so hyped with costly places and booze & drugs and what not ..
Asli nasha to ghumne ka hai meri jaan .. chalte rehne ka..asli nasha hai ye jan ne ka ki Wo jo pahad abhi gaya mere samne se me kitni choti hu uske samne.. solo travelling ka tag insta pe dal dena hi sabkuch nhi hota.. ke Wo jo paani tha mere saamne abhi kitna hi sundar kyu na lage mujhe puri tarah duba ke gayab kar sakta hai ..
Roadtrip ka nasha hi kuch or hai mere dost .. jab ye sochne lago ki is raste ke har kone-kone me ek kahani chipi hai.. ek zindagi jo shayad kheti kar rahi ho door kahi .ek maa jo shayad apne bacche ko school jane ke liye taiyaar kar rahi ho .. ek janwar jo shayad bhukh se garmi se mar raha ho same isi jagah jana se tum jaa rahi ho abhi ..

Jab ye sochne lago ki tumhara existence kitna negligible hai n fir bhi kitna important hai .. jab ye lagne lage ki apne har ek imperfection(man-made) ke bawazod ye duniya kitni haseen hai
Samjhlo tumhe solo travelling ka nasha chad raha hai ..
Jab khud se bate karne lago ye kehte hue ki I’m glad I can experience all this..
Duniya tumhe pagal keh sakti hai .. I’m not denying that fact but trust me feeling so little in front of this awesomely huge world n still feeling so powerful is amazing.. U don’t have to justify urself.. even if people won’t understand you .. you gotta do what u gotta do.. it’s ur life..you feel it n you live it ..
But ek hi request hai meri har us insaan se jo #solotravel use karta hai plz agar aapke paas ek camera man hai for shooting you that s not a fucking solo travel.. don’t do stuff to show other ppl..show it to urself..do it for urself.. kho jao apne khayalo me bahar ki khubsoorati ho takte hue ke ye safar hi ka to naam hai zindagi..
Tum khud ke liye jiyo ya kisi or ke liye jeena to hai hi.. so better live a life for yourself even when it is difficult for others to understand..ghanta kon aapni khud ki life ko samjh paya hai aajtak .
Chalo me chali har aate jate peidoon n pahadon ki kahaniyo ko sun ne ke shayad inhe pata ho jab sab shuru hua tha n jab sab khatam hoga tab tak kya kya hua n or kya kya hoga..
Yakeen mano sare nashe bhul jaoge ek baar sadko pe aa kar to dekho.. nayi rahe bana kar to dekho.. kab tak copy karoge dusro ko ??kabhi apni chala kar to dekho ..
Tumhe dillagi bhul jani padegi..mohobaat ki rahon me aa kar to dekho
